|
![]() |
![]() |
Ram Mandir
Ke Jis Mandir Ka Gara Khoon Men
Goondha Gaya Ho
Ke Jis Ki Saree Eeten, Bastiyon Men Aag Sulga Kar
Pakaee Ja Rahee Hon
Ke Jis Ki Ghantiyon Men
Siskiyan, Aah-O-Buka, Cheekhen
Piroee Ja Rahi Hon
Ke Jis Mandir Ke Bunyaaden,
Watan Ki Sab Jadon Ko Khod Kar Tameer Ki Janyen
Ke Jis Ke Rang-O-Raughan Ko
Hazaron Aurtoon Ki Mang Ke Sindoor Ki
Wahshi Zaroorat Ho
Ke Jis Ke Patharon Men
Naqsh Jab Ubhren, To Yun Ubhren
Nazar Aaye
Kisi Masoom Ki Bindee
Kisi Majboor Ki Aahen
Kisi Burhe Ki Ummeeden
Kisi Kamsin Jawani Ki
Sisakti Aakhri Sansen
Use ‘Maryada Purshottam Ka Mandir’
Nam Dena Pap Hoga
Karo Tum Pap
Karte Hi Rahe Ho
Magar Mujh Se To Ye Hargiz Na Ho Ga
Men Us Ko ‘Ram Ka Mandir’ Naheen Keh Paoon Ga Hargiz.
Naheen Keh Paoon Ga Hargiz.
Naheen Keh Paoon Ga Hargiz.
GAUHAR RAZA01.03.02 |